husn ke raaz-e-nihan sharh-e-bayan tak pahunche aankh se dil mein gae dil se zaban tak pahunche dil ne aankhon se kahi aankhon ne dil si kah di baat chal nikli hai ab dekhen kahan tak pahunche ishq pahle hi qadam par hai yaqin se wasil intiha aql ki ye hai ki guman tak pahunche kaba-o-dair mein to log hain aate-jate wo na laute jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche aankh se aankh kahe dil se hon dil ki baaten wae wo arz-e-tamanna jo zaban tak pahunche