ab to jine ki koi aas nahin teri yaaden bhi mere pas nahin sikh lete hain wo fan-e-ulfat dair mein ishq ka class nahin dekh lun teri nargisi aankhen aur koi bhi mujh ko pyas nahin pi raha hun main ashk-e-gham-e-saqi mai se labrez ye gilas nahin jab se mujh se bichhad gaya koi zindagi aai mujh ko ras nahin sahn-e-gulshan ke phul sharmae koi bhi tujh sa khush-libas nahin jo tha qismat mein wo nazar aaya gham mein bhi rah ke main udas nahin