husn ki ranginiyon ka zikr har mahfil mein hai shauq ka tufan nihan lekin sukut-e-dil mein hai rahguzar bhi rah-rau bhi rahbar bhi dil sada gar kisi manzil mein hai to shauq ki manzil mein hai tum ne dekha hai tabassum rang aur ranaiyan zakhm bhi dekha kabhi jo phul ke bhi dil mein hai wo bhi majbur-e-wafa hai main bhi majbur-e-wafa main bhi kis mushkil mein hun aur wo bhi kis mushkil mein hai wo tabassum wo nigah aur wo adaen khas khas raushni kin kin charaghon ki na jaane dil mein hai ta-dam-e-akhir rahenge hasraton ke silsile ek hasrat dil se nikli ek hasrat dil mein hai chal raha hun main agarche karwan ke sath ek tanhai ka aalam har qadam par dil mein hai rahne do lahron pe meri kashti-e-kuhna 'habib' khugar-e-tufan ki turbat ek kaf-e-sahil mein hai