jab dhun mein apni manzil ki chal paDte hain diwane log

jab dhun mein apni manzil ki chal padte hain diwane log
kab hail ko ho dariya ho kab rok saken farzane log

chehron par hum ne dekhi hai shadab bahaaren go aksar
pahlu mein liye phirte hain magar ab bhi kitne virane log

taqsir thi chashm-e-nam ki meri ya teri nigah-e-lutf ki thi
ab roz banate chalte hain har baat pe kuchh afsane log

sahba mein kaha wo masti hai jo teri nazar se barasti hai
teri aankh ke saghar chhalken jab kyon jaenge mai-khane log

dard hai sab ka apna apna is ko main kaise bantun
duniya ki ek rasm nibhane aae dil bahlane log

pyar ke sote khushk hue sab aankh ka pani bhar hi gaya
main kya samjhun kaun hai apne kaun yahan begane log

shama ek hai meri nazar mein jis se ye dil raushan hai
un ki baat alag hai jo har shama ke hain parwane log

dil ki jis ne baat kahi wo haar gaya jag ki bazi
dil mein kuchh hai lab par kuchh ye karte hain farzane log

is shahr mein ab to 'habib' kahin bhi rasm-e-wafa ka nam nahin
aao ja kar wahan basen hum sab hon jahan anjaane log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close