husn ki sar-phiri purwai se Dar lagta hai

husn ki sar-phiri purwai se dar lagta hai
ek jawan ped hun tanhai se dar lagta hai

ghar ki taqsim wasiyyat ke mutabiq hogi
phir bhi kyon mujh ko sage bhai se dar lagta hai

tod de jo mujhe sukhi hui lakdi ki tarah
aise jazbaat ki angdai se dar lagta hai

is qadar jhut musallat hai abhi duniya par
aaj har shakhs ko sachchai se dar lagta hai

kuchh chatanon ne sanbhaala hai pahadon ka waqar
kuchh chatanon ko magar rai se dar lagta hai

dad-o-tahsin buri chiz nahin hai 'meraj'
bas mujhe hashiya-arai se dar lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close