'iqbaal' ka sani hain na 'ghaalib' ka badal hain bas hum bhi numainda-e-tahzib-e-ghazal hain ye soch ke hanste hue jite hain jahan mein duniya ke masail hi hamare liye hal hain jab khud se mulaqat karun khud se karun baat allah mere waste wo kaun se pal hain patthar bhi na maroge to gir jaenge sad kar itrae hue apni bulandi pe jo phal hain pai ye saza kate gae hath hamare ye jurm ki hum naqsh-gar-e-taj-mahal hain haalat ki aandhi na mita paegi 'meraj' patthar ki lakiron ki tarah hum bhi atal hain