husn ki waqat nahin ab ishq ki sarkar mein

husn ki waqat nahin ab ishq ki sarkar mein
bik gae yusuf hazaron misr ke bazar mein

jo na karna tha wo raaz-e-ishq zahir kar diya
aa ke ruswa ho gae hum majma-e-aghyar mein

aur se kya puchhte hain aa ke hum se puchhiye
kya maza milta hai dil ko aap ki guftar mein

khwab se bedar hote hi nahin hain baada-khwar
aisi masti hai hawa-e-subh ki raftar mein

ishq-e-laila mein ye dekha haal hum ne qais ka
khak chhana hi kiya wo kucha-o-bazar mein

ai masiha kis tarah hazir ho tere samne
ab sakat uthne ki bhi baqi nahin bimar mein

aafat-e-arz-e-samawi se bachega apna ghar
ism-e-azam jab hai shamil har dar-o-diwar mein

dushmanon ka dost ban jata hai kuchh din ke liye
aib hota hai ye aksar mard-e-kaj-raftar mein

kar nahin sakte hain aapas mein wo baaten hosh ki
be-khudi ka ye asar hai mai-kash o mai-khwar mein

be-khabar wo hai to hai ye ba-khabar har gam se
farq hai ai dil bahut la-ya'qil-o-hushiyar mein

dasht-o-gulshan mein nahin 'hamid' koi dil-bastagi
ji bahalta hai agar apna to ku-e-yar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close