kuchh aise mahw hon aankhen jo khol kar dekhen

kuchh aise mahw hon aankhen jo khol kar dekhen
usi ka jalwa nazar aae hum jidhar dekhen

dam-e-akhir koi aarzu nahin dil mein
ye aarzu hai ki hum tujh ko ek nazar dekhen

unhen banao se fursat kahan shab-e-wada
fuzul sham se kyon rah ta-sahar dekhen

riyaz dahr mein phule samaen hum kyunkar
jo apne nakhl-e-tamanna ko barwar dekhen

idhar hai mera jigar aur udhar hai dil mera
wo kashmakash mein pade hain kidhar kidhar dekhen

nisar chashm-e-inayat pe hum hon so dil se
wo is nazar se agar hum ko ek nazar dekhen

khabar mili hai mujhe aaj un ke aane ki
jo ahl-e-ishq hon wo aah ka asar dekhen

jo kuchh ho dil mein hamare utha na rakkhen hum
jo kuchh ho aap ke dil mein wo aap kar dekhen

nahin pasand mujhe nukta-chiniyan 'hamid'
kisi ke aib ko kya dekhen hum hunar dekhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close