husn kya jis ko kisi husn se khatra na hua kaun yusuf hadaf-e-kaid-e-zulaikha na hua wo payambar bhi nahin hoga khuda shayad ho pak daman to raha shahr mein ruswa na hua the naya chand to thin hum se umiden kya kya qaus ke qaus rahe daera pura na hua larzish-e-lab ko zaban koi kumak de na saki puchhne par bhi to elan-e-tamanna na hua hum gireban-e-shab-e-tar tatola hi kiye kaj tukmon se sile the so ujala na hua kya na chaha ki bana le mah-e-kanan ko ghulam ek budhiya ne bhi afsos ki paisa na hua na-shouri mein ajab zoam tha danai ka jab zara aql mujhe aai to diwana hua warison ko na raha yaad ki wirsa kya tha aur kafan bhi shohda ka abhi maila na hua har tamanna ne nikalte hi dagha di kaisi kuchh wafadar wo arman tha jo pura na hua pyar be-qaul-o-qasam donon taraf ab tak hai aa padi us ko haya hum se taqaza na hua zinda gade hue bandon ke ye sunsan nagar aaj hi koi zamane ka masiha na hua ye bhi kahta ki khuda hun to jabin jhuk jati waisa insan koi aur to paida na hua kunj tak aa ke mujhe suniye ki bulbul koi aa ke mahfil mein kabhi zamzama-paira na hua