is zamin o aasman par khak dal kuchh nahin tera yahan par khak dal naqsh hone ki teri surat hai aur is wajud-e-be-nishan par khak dal khatm sab kuchh haar se hota nahin uth aur ehsas-e-ziyan par khak dal dard jab samjhe tera wo be-zaban aarzu-e-ham-zaban par khak dal is makani qaid se bahar nikal is zaman o la-zaman par khak dal tu bharam hai aur na koi wahm hai chhod maya ke jahan par khak dal in asatiri fazaon se nikal is tilism-e-dastan par khak dal is se pahle har yaqin ho gard gard har qayas aur har guman par khak dal