husn mein aafat-e-jahan tu hai chaal mein khanjar-e-rawan tu hai donon zalim hain farq itna hai aasman pir hai jawan tu hai be-kahe dil ka haal raushan hai ai khamoshi meri zaban tu hai apne ghar mein khayal mein dil mein ek ho kar kahan kahan tu hai donon jaanib se parda-dari hai main hun gumnam be-nishan tu hai sab se pyari hai jaan duniya mein jaan se badh ke jaan-e-jaan tu hai aaine par nahin ye chashm-e-karam apni surat ka qadar-dan tu hai kya barabar ka jod hai ye 'jalil' yar nazuk hai na-tawan tu hai