husn mein shan-e-kibriyai hai wo jidhar hai udhar khudai hai pi raha hun nigah-e-saqi se meri rindi bhi parsai hai ab tere dar se ja nahin sakta ye ata-e-shikasta-pai hai aashna aashna se begana kya ye dastur-e-ashnai hai rast-goi hai ek jurm yahan hae kaisi teri khudai hai koi munh se kahe kahe na kahe sab hain ek zauq-e-khud-numai hai tujh ko paya to ye hua mahsus meri hasti teri judai hai bhulta hi nahin khayal un ka ye ajab tarz-e-dilrubai hai dair-o-kaba unhen mubarak ho jin ki fitrat mein jibha-sai hai rahnuma ban ke rah bhul gae wah kya khub rahnumai hai