hasrat-e-did bar nahin aati ab wo surat nazar nahin aati koi chutki si dil mein leta hai be-sabab aankh bhar nahin aati aur sab kuchh hai aadmi mein magar aadamiyyat nazar nahin aati kaam umr-e-rawan se le ghafil ye kabhi laut kar nahin aati jis se mit jae zulmat-e-hasti koi aisi sahar nahin aati un ko apne qarib pata hun jab kuchh apni khabar nahin aati ek bhi chiz donon aalam ki dil se afzal nazar nahin aati raushni kya hai raushni jab tak zulmaton se guzar nahin aati un ki baaton se khul gaya ye 'bahaar' baat banti nazar nahin aati