husn par hai khub-ruyan mein wafa ki khu nahin phul hain ye sab pa in phulon mein hargiz bu nahin husn hai khubi hai sab tujh mein pa ek ulfat nahin aur sab kuchh hai pa jo hum chahte hain so nahin ghar ujala tum kun karna ho agar ehsan ka to diya jo kuchh ke ho phir nam us ka lo nahin baat jo hum chahte hain so to hai tum mein sajan be-dahan kahte hain tu kya dar ki tum ko go nahin 'abru' hai us kun kyun-kar is tarah ka jaaniye tum to kahte ho par aisa kaam us sin ho nahin