husn par jab shabab aata hai ek naya inqalab aata hai un ko bheja hai aaj nama-e-shauq dekhiye kya jawab aata hai meri aankhon mein dekh kar aansu un ko mujh par itab aata hai be-naqab un ko dekhne ke liye raat ko mahtab aata hai talib-e-did dars-e-ulfat len imtihan mein ye bab aata hai aap jo bhi sawal puchhenge mujh ko us ka jawab aata hai qabr par meri gul chadhane ko wo barae-sawab aata hai tauba karte raho gunahon se shaitanat se azab aata hai raat mein din 'aziz' niklega aisa ek aaftab aata hai