ishq ne tere na jaane kya tamasha kar diya ek qatra tha main lekin mujh ko dariya kar diya jab junun mera badha to us ne aisa kar diya un ko sharminda kiya aur mujh ko ruswa kar diya ishq mera chhup nahin sakta chhupane se mere aansuon ne khub bah kar is ko ifsha kar diya ek jalwa jo kabhi tu ne dikhaya tha mujhe tere is jalwe hi ne mahw-e-tamasha kar diya kaun-si thi wo khata jis ki mujhe di ye saza bazm se tu ne utha kar mujh ko ruswa kar diya ab talash-e-chaaragar main kyon karun aur kis liye dard ne ab to mera khud hi mudawa kar diya kya zarurat hai chhupane ki mere qatil ko ab khun ne us ko zaban se aashkara kar diya main bahut mamnun-e-ehsan hun 'aziz' is ishq ka jis ne mere qalb ko husn-e-mujalla kar diya