husn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jae chhatri kaun kharidega phir jitni barish ho jae aisi pyas ki shiddat hai ki main ye duaen karta hun jitne samundar hain duniya mein sab ki barish ho jae meri ghazlen us ke sath bitae waqt ka hasil hain waisi faslen ug aati hain jaisi barish ho jae chhote chhote talabon se pani chhina jata hai tum to bas ye kah dete ho thodi barish ho jae aandhi aae bijli kadke kali ghataen chhane lagen majburan wo ruke mere ghar itni barish ho jae tang aaya hun main is hijr-o-wasl ki bunda-bandi se ya to sukha pad jae ya dhang ki barish ho jae