us par to khair aasman hai is par agar dhuan dhuan hai andha hai gharib khush-guman hai aur samne khai hai kuan hai diwar-e-kuhan ke zer-e-saya baalu ke mahal ki dastan hai jalti hui ret ka sahaara jalti hui ret bhi kahan hai patthar ki lakir ke alawa mitti ka diya bhi darmiyan hai har shahr ke zer-e-parda jangal 'ahmad' ye maqam-e-imtihan hai