husn se sharh hui ishq ke afsane ki shama lau de ke zaban ban gai parwane ki shan basti se nahin kam mere virane ki ruh har bondle mein hai kisi diwane ki aamad-e-mausam-e-gul ki hai khabar daur-e-digar tazgi chahiye kuchh sakht mein paimane ki aai hai kat ke miad-e-asiri ki bahaar hatkadi khul ke giri jati hai diwane ki sard ai shama na ho garmi-e-bazar-e-jamal phunk de ruh nai lash mein parwane ki uth khada ho to bagula hai jo baithe to ghubar khak ho kar bhi wahi shan hai diwane ki 'arzu' khatm haqiqat pe hua daur-e-majaz dali kabe ki bina aad se but-khane ki