sharab pi ke bhi mast-e-sharab ho na saka

sharab pi ke bhi mast-e-sharab ho na saka
tera kharab-e-mohabbat kharab ho na saka

isi pe khatm hain nakaamiyan zamane ki
teri janab mein jo kaamyab ho na saka

teri ata ke tasadduq tere karam ke nisar
gunahgar tha lekin azab ho na saka

wufur-e-husn ki wo shokhiyan maaz-allah
shabab tabe-e-ahd-e-shabab ho na saka

kharab-e-ishq tera ho ke sari duniya mein
kisi ka bhi dil-e-khana-kharab ho na saka

uthi na arz-e-tamanna pe khashmagin ho kar
teri nigah ka mujh par itab ho na saka

hazar rang the lekin tha ek hi jalwa
kamal husn ka tere jawab ho na saka

dalil-e-pasti auj-e-falak hai ye 'afqar'
ki khak-bos-s-dar-e-bu-turab ho na saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close