husul-e-arzu mein sai-e-imkani to hoti hai pareshani se kya darna pareshani to hoti hai koi ghabra ke apni jaan hi de de to kya kahiye har ek mushkil se paida warna aasani to hoti hai bahaaron se talluq aarzi apna sahi lekin hamare ghar ki raunaq ab bhi virani to hoti hai mizaj-e-husn par kya zor ahl-e-ishq ka warna jab un ka zikr aata hai pashemani to hoti hai kahin milta hai un ko soz mere ashk-e-rangin ka mah-o-anjum mein yun hone ko tabani to hoti hai zamanat aasman ki kaun de arbab-e-gulshan ko ye mana lala-o-gul ki nigahbani to hoti hai tumhaare sath thin kuchh aur zalim chandni raaten faza mein aaj bhi ek kaif-samani to hoti hai tariq-e-dil-nawazi bhi hua karta hai logon mein jafa-kari to karte ho sitam-rani to hoti hai 'adib' aisi nawa jis se dilon ko zindagi milti ghazal-khwani ka kya kahna ghazal-khwani to hoti he