husn kabe ka hai koi na sanam-khane ka sirf ek husn-e-nazar hai tere diwane ka ishq ruswa bhi hai majbur bhi diwana bhi aur abhi khair se aaghaz hai afsane ka kar-farma tere jalwon ki kashish hai warna shama se dur ka rishta nahin parwane ka yahi takmil-e-mohabbat ki hai manzil shayad hosh apna mujhe baqi hai na begane ka kaun samjhega mere dard-e-mohabbat ko yahan hai haqiqat magar andaz hai afsane ka husn khud sarf-e-tamasha ho do-alam kya hai parda utthe to sahi ishq ke diwane ka subh ki chhanw mein chaunke to hain ghafil lekin shama ka sog ki matam karen parwane ka tum ne barbaad kiya bhi to is ehsan ke sath jaise muddat se mujhe shauq tha mit jaane ka dasht-e-ghurbat se palatta hun main jab su-e-watan puchh leta hun nishan barq se kashane ka jhilmilate hue taron pe ye hota hai guman ye bhi ek rang hai goya mere afsane ka ahl-e-mai-khana liye phirte hain aankhon mein 'adib' reza-reza mere tute hue paimane ka