husul-e-faqr gar chahe to chhod asbab-e-duniya ko laga de aag yaksar bistar-e-sanjab-o-diba ko rakhe hain haq-parastan tark-e-jamiyyat mein jamiyyat mayassar howe ye daulat kahan arbab-e-duniya ko fareb-e-rang-o-bu-e-dahr mat kha mard-e-aqil ho samajh aatish-kada is gulshan-e-shadab-e-duniya ko siyah-mast-e-mai-e-tahqiq ho gar pak-tinat hai najis mat jam kar tu bhar ke bas khunab-e-duniya ko ye hai 'bedar' zahr-aluda mar is se hazar karna na lena hath mein tu gesu-e-pur-tab-e-duniya ko