husn-e-sarshaar tera daru-e-be-hoshi hai hosh mein kaun hai kis ko sar-e-mai-noshi hai kuchh agar be-adabi howe to mazur rakho sohbat-e-mai-kashi-o-alam-e-be-hoshi hai jon hilal aap se yaksar main hua hun khali tujh se ai mehr-laqa shauq-e-ham-aghoshi hai bang-e-gul bais-e-gardan-shikni hai gul ki ghuncha salim hai ki jab tak use khamoshi hai sar chadha jae hai ai zulf kasu ki to magar us pari-ru se tujhe aaj jo sargoshi hai aap ho jae hai us tegh nigah ke aage garche aaine ke jauhar se zara poshi hai umr ghaflat hi mein 'bedar' chali jaani hai yaad hai jis ki gharaz us se faramoshi hai