husul-e-zar na kasb-e-rutba-e-zi-shan pe rakkhi hai

husul-e-zar na kasb-e-rutba-e-zi-shan pe rakkhi hai
nazar hum ne hamesha khidmat-e-insan pe rakkhi hai

usi ko har tarah ki kaamrani ho gai hasil
asas-e-zist jis ne hikmat-e-quran pe rakkhi hai

azal ke roz hi se jins-e-ulfat ki giran-bari
nahif-o-na-tawan se shana-e-insan pe rakkhi hai

mohabbat pyar hasrat ranj-o-gham dard-o-hirasani
sabhi baaton ki tohmat ek dil-e-nadan pe rakkhi hai

tan-asani-e-sahil ko to kuchh kahta nahin koi
har ek ne tohmat-e-fitnagari tufan pe rakkhi hai

ye gul hai barq hai shoala hai kundan hai ki hai lala
na jaane kya dahakti shai lab-e-jaanan pe rakkhi hai

mah-o-khurshid ho jaen na mare sharm ke pani
isi khatir naqab us ne rukh-e-taban pe rakkhi hai

'nadim' us ko mayassar aa gai hai shohrat-e-jawed
sada angusht jis ne gardish-e-dauran pe rakkhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close