aashiqi mein bhala-bura kya hai aa gaya dil to dekhna kya hai wasl ki shab ye shokhiyan dekho puchhte hain ki muddaa kya hai log to kahte hain mariz-e-ishq tum batao mujhe hua kya hai bewafai mein aap ka shohra aur hoga abhi hua kya hai chashm-e-pur-fan se un ki puchhenge ishwa kya chiz hai ada kya hai un se wo wo ada nikalti hai jo nahin jaante ada kya hai mujh se puchho shab-e-firaq ka haal jaanta hun ki ye bala kya hai kya qayamat hai un se puchhta hun nigah-e-chashm-e-fitna-za kya hai abr uthae hai lo piyo ai 'lutf' mai se tauba tumhein hua kya hai