huzur-e-dawar-e-mahshar qayamat-khez saman tha hazaron hath the aur ek qatil ka gireban tha jo hum donon ki qismat mein pareshani ka saman tha mere dil se ziyaada yar ka gesu pareshan tha bhala jannat mein zer-e-saya-e-tuba wo kya jate shahidon ko teri diwar ke saye ka arman tha khile the fasl-e-gul mein phul yun shakh-e-nasheman mein gulistan mein nasheman tha nasheman mein gulistan tha sar-e-baalin na aana tha na aae chaarasazi ko hamare dard-e-dil ka to unhin ke pas darman tha junun ka josh duna ho gaya fasl-e-bahaari mein meri qismat pe kya kya khanda-zan chaak-e-gareban tha nishan-e-zulm-e-zalim sirf mazlumon se milta tha asiran-e-sitam ki zat se aabaad zindan tha zamana jis pe shaida tha usi par hum bhi shaida the usi par hum bhi qurban the zamana jis pe qurban tha jab un se puchhta hun kaun tha iqrar tha jis se wo kahte hain hamin hain han hamin se ahd-o-paiman tha na shahan-e-salaf hain aur na un ki saltanat baqi kahan mulk-e-sulaiman tha kahan qasr-e-sulaiman tha ajab andaz se bikhri hui thi zulf aariz par wo zalim kis pareshan-haal ke gham mein pareshan tha dil-e-barbaad apna banda-e-ishq-e-butan thahra musalman jis ko samjhe the wo kafir na-musalman tha hamari lash par kis naz se kahte hain wo hans kar nahin malum kya 'naushad' tere dil mein arman tha