khwab mein wo mere aaghosh mein aa jata hai meri soti hui taqdir jaga jata hai gul-o-shabnam ka ye hota hai chaman mein anjam hans ke koi to koi ro ke chala jata hai josh par fasl-e-bahaari hai chaman mein sayyaad ab qafas mein to nahin hum se raha jata hai mit gaya hun wo sitam se nahin ghafil phir bhi meri turbat ka nishan aa ke mita jata hai jal ke parwana hua khak to us ke gham mein munh dhuan shama ka mahfil mein hua jata hai aap ne baith ke baalin pe jise dekha tha aaj duniya se wo bimar utha jata hai apne andaz pe aisa na ho aashiq ho jae aaina-khane mein wo mahw-e-ada jata hai yaad karta nahin bhule se wo tujh ko 'naushad' hae tu jis ki mohabbat mein mita jata hai