huzur-e-shah mein ahl-e-sukhan ki aazmaish hai chaman mein khush-nawayan-e-chaman ki aazmaish hai qad o gesu mein qais o kohkan ki aazmaish hai jahan hum hain wahan dar-o-rasan ki aazmaish hai karenge kohkan ke hausle ka imtihan aakhir abhi us khasta ke nerwe tan ki aazmaish hai nasim-e-misr ko kya pir-e-kanan ki hawa-khwahi use yusuf ki bu-e-pairahan ki aazmaish hai wo aaya bazm mein dekho na kahiyo phir ki ghafil the shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman ki aazmaish hai rahe dil hi mein tir achchha jigar ke par ho behtar gharaz shust-e-but-e-nawak-fagan ki aazmaish hai nahin kuchh subha-o-zunnar ke phande mein girai wafadari mein shaikh o barhaman ki aazmaish hai pada rah ai dil-e-wabasta betabi se kya hasil magar phir tab-e-zulf-e-pur-shikan ki aazmaish hai rag-o-pai mein jab utre zahr-e-gham tab dekhiye kya ho abhi to talkhi-e-kaam-o-dahan ki aazmaish hai wo aawenge mere ghar wada kaisa dekhna 'ghaalib' nae fitnon mein ab charkh-e-kuhan ki aazmaish hai