kabhi kabhi to bahut yaad aane lagte ho ki ruthte ho kabhi aur manane lagte ho gila to ye hai tum aate nahin kabhi lekin jab aate bhi ho to fauran hi jaane lagte ho ye baat 'jaun' tumhaari mazaq hai ki nahin ki jo bhi ho use tum aazmane lagte ho tumhaari shairi kya hai bura bhala kya hai tum apne dil ki udasi ko gane lagte ho surud-e-atish-e-zarrin-e-sahn-e-khamoshi wo dagh hai jise har shab jalane lagte ho suna hai kahkashanon mein roz-o-shab hi nahin to phir tum apni zaban kyun jalane lagte ho