huzur-e-yar bhi aazurdagi nahin jati ki hum se itni bhi duri sahi nahin jati khud apne sar ye bala kaun mol leta hai mohabbat aap se hoti hai ki nahin jati lahu jalati hai khamoshiyon mein palti hai hikayat-e-dil-e-sozan kahi nahin jati hum is ko kya karen tum ko hai na-pasand magar zaban-e-haal se barjastagi nahin jati mila de khak mein hum ko hazar gardish-e-charkh magar bagulon se aawargi nahin jati chaman wo ho ki bayaban bahaar ho ki khizan junun ki fitrat-e-jama-wari nahin jati agar ghubar ho dil mein agar ho tang-nazar to mehr o mah se bhi tirgi nahin jati mahakti rahti hai ghurbat mein bhi sharafat-e-nafs gul-e-fasurda se khushbu kabhi nahin jati charagh din mein dhuan hi dhuan sa lagta hai sharab raat ki shai din ko pi nahin jati agar yaqin nahin hai najabat-e-mai par to lakh pite raho tishnagi nahin jati shuur-e-husn muzmir hijab mein 'wamiq' barhana chehron se be-chehragi nahin jati