pyar ka yun dastur nibhana padta hai qatil ko sine se lagana padta hai duniya ko pur-nur banane ki khatir apne ghar ko aag lagana padta hai but-khane yunhi tamir nahin hote patthar ko bhagwan banana padta hai duniya-dari ki khatir is duniya ka jaane kya kya naz uthana padta hai apne qatil ki masum nigahon se dil ka har ek zakhm chhupana padta hai aisa bhi waqt aata hai sardari par angaron ko phul banana padta hai aisa bhi hota hai hijr ki raaton mein diwaron ko haal sunana padta hai jin galiyon mein qatl hue arman 'wali' un galiyon mein aana jaana padta hai