ibaadat ke liye bas rab nahin hai mohabbat se bada mazhab nahin hai main suraj hun mujhe dhalna hi hoga mere hisse mein koi shab nahin hai jo kahna chahti hun tum wo samjho meri baaton ka wo matlab nahin hai ye kaisa shahr hai jage hai shab-bhar yahan jine ka koi dhab nahin hai nazar kya mil gai us ki nazar se tamanna dil mein koi ab nahin hai bahut mushkil hai jina zindagi ka kala hai ye koi kartab nahin hai jirah mein sab ke sab uljhe hue hain kisi ki baat ka matlab nahin hai