ibarat is mein har ek be-naqab meri hai likha hai nam tumhaara kitab meri hai gulab tod ke zinat bana lo daman ki na khao khauf ye shakh-e-gulab meri hai ye mai-kada ye hasin jam go tumhaare hain jo pi rahe ho maze se sharab meri hai bhatak na jae kahin asp-e-ishq rahon se dua labon pe tere ham-rikab meri hai wo tut kar nahin girte zamin par na sahi sitare charkh ke hain aab-o-tab meri hai main harf harf mein us ke basa hun dhadkan sa koi bhi kah le khushi se kitab meri hai