girwida jis ke husn ka sara jahan hai karte hain jis se ishq wo urdu zaban hai allah re zaban ki kya aan-ban hai 'iqbaal' ki hai ruh to 'ghaalib' ki jaan hai dilli ka marsiya ho ya dil mein wufur-e-gham dekhen kalam-e-'mir' ko kya is ki shan hai 'sauda' isi khayal mein din-raat mahw the un ka khayal tha abhi urdu jawan hai wo lutf wo mithas kahan sab ko hai nasib nazm-o-nasr ko dekh lo shirin bayan hai khushbu har ek phul ki maujud is mein hai har phul ranga-rang hai ek gulistan hai tahzib-e-mushtarak ki fazilat liye hue nazan isi pe kishwar-e-hindostan hai ummid hai ki is ko milega farogh-e-khas sarkar is ke haal pe kuchh mehrban hai urdu padhen padhaen likhen bolte rahen 'ahqar' yahi to aap ke shayan-e-shan hai