ibarat jo udasi ne likhi hai

ibarat jo udasi ne likhi hai
badan us ka ghazal sa reshmi hai

kisi ki pas aati aahaton se
udasi aur gahri ho chali hai

uchhal padti hain lahren chand tak jab
samundar ki udasi tutti hai

udasi ke parindo tum kahan ho
meri tanhai tum ko dhundhti hai

mere ghar ki ghani tarikiyon mein
udasi bulb si jalti rahi hai

udasi odhe wo budhi haweli
na jaane kis ka rasta dekhti hai

udasi subh ka masum jharna
udasi sham ki bahti nadi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close