ibn-e-adam teri tauqir mein rakkha gaya hun hun wahi zakhm jo shamshir mein rakkha gaya hun mera kirdar ayan hona hai duniya pe abhi main abhi khwab hun tabir mein rakkha gaya hun meri wahshat se zamane ko bada khatra hai is liye qaid mein zanjir mein rakkha gaya hun tujh se sharminda hun tu ne hai bahut jhela mujhe gham ki surat teri taqdir mein rakkha gaya hun khatm honi hai mohabbat ki risalat mujh par main ki taqdim hun takhir mein rakkha gaya hun chashm-e-madar hai koi girya-kunan mere liye wo gala hun jo kisi tir mein rakkha gaya hun