gham uthane ki zid mein zinda hun zakhm khane ki zid mein zinda hun bhul paun tujhe to mar jaun bhul jaane ki zid mein zinda hun mere ahbab hain khafa mujh se bas manane ki zid mein zinda hun koi to mujh ko bhi mana le kabhi ruth jaane ki zid mein zinda hun wo jo mera kabhi nahin hoga us ko pane ki zid mein zinda hun mujh ko sab ne bhula diya yani yaad aane ki zid mein zinda hun jit jaise mera muqaddar ho haar jaane ki zid mein zinda hun