ibtida aur intiha ka silsila koi na tha tu hi tha har ahd mein tere siwa koi na tha aasman ka jab zamin se rabta koi na tha ediyan ragdi gai thin moajiza koi na tha waqt aisa tha ki apna aasra koi na tha ye gali apni thi lekin aashna koi na tha khwahishon ki sar-bulandi le ke jati bhi kahan daera tha parbaton ka rasta koi na tha zehn-o-dil ki duriyan mahfuz thin apni jagah aur logon ne ye samjha fasla koi na tha shahr-e-pur-ashob ki tamsil thi apni hayat dil-shikan is se ziyaada waqia koi na tha apni apni dhun mein the 'khalid' sabhi mahw-e-safar manzil-e-maqsad ki jaanib qafila koi na tha