ibtida bigdi intiha bigdi ibn-e-adam ki har ada bigdi chaarasazon ki chaara-sazi se aur bimar ki dasha bigdi baz aaya na apni fitrat se meri naseh se barha bigdi ban gaya marja-e-khalaiq-e-dasht shahr ki is qadar faza bigdi nam rakkha gaya sumum us ka lala-o-gul se jab saba bigdi mai-kade mein bhi dekh kar na kaho niyyat-e-shaikh-e-parsa bigdi tark-e-ulfat ke baad to 'atish' baat pahle se bhi siwa bigdi