khud bhi sayyaad imtihan mein hai ek hi tir ab kaman mein hai dhup ab aa gai munderon par subh ka shor mere kan mein hai din mera dhal gaya to gham kaisa dhup ab bhi bahut si lawn mein hai us ko mujh par yaqin nahin hota jaane wo kaun se guman mein hai aasman ki taraf hai us ki nazar jo bhi ab umr ki dhalan mein hain jo makin tha kabhi mere dil ka aaj-kal ghair ke makan mein hai