ibtida-e-ishq hai lutf-e-shabab aane ko hai sabr rukhsat ho raha hai iztirab aane ko hai qabr par kis shan se wo be-naqab aane ko hai aaftab-e-subh-e-mahshar ham-rikab aane ko hai mujh tak us mahfil mein phir jam-e-sharab aane ko hai umr-e-rafta palti aati hai shabab aane ko hai hae kaisi kashmakash hai yas bhi hai aas bhi dam nikal jaane ko hai khat ka jawab aane ko hai khat ke purze nama-bar ki lash ke hamrah hain kis dhitai se mere khat ka jawab aane ko hai na-umidi maut se kahti hai apna kaam kar aas kahti hai thahar khat ka jawab aane ko hai ruh ghabrai hui phirti hai meri lash par kya janaze par mere khat ka jawab aane ko hai bhar ke saqi jam-e-mai ek aur la aur jald la un nashili ankhdiyon mein phir hijab aane ko hai khana-e-taswir mein aane ko hai taswir-e-yar aaine mein qadd-e-amdam aaftab aane ko hai phir hinai hone wale hain mere qatil ke hath phir zaban-e-tegh par rang-e-shahab aane ko hai gudgudata hai tasawwur chutkiyan leta hai dard kya kisi be-khwab ki aankhon mein khwab aane ko hai dekhiye maut aae 'fani' ya koi fitna uthe mere qabu mein dil-e-be-sabr-o-tab aane ko hai