ibtida ka intiha se rabta bandhe hue ghar se nikla hun safar ka muddaa bandhe hue be-yaqini ka ye aalam ho gaya hai aaj-kal aadmi das das jagah hai aasra bandhe hue wo to is ke hukm se hota hai jo bhi faiz ho kimiya kab hai shifa ka madda bandhe hue fikr-o-fan ki mahfilon mein ab ye manzar aam hain be-hunar be-ilm dastar-e-ana bandhe hue un ke pakiza iradon ki hifazat ai khuda be-libason mein hain jo band-e-qaba bandhe hue zindagani ki haqiqat ye samajh lijiye ki bas bulbula hai ek tufan-e-bala bandhe hue kar-amad jaan kar ek aala-e-guft-o-shunid phir rahe hain log daman se qaza bandhe hue