lamha lamha bit chuka hai ab jo tum pachhtao to kya bhuli-bisri yaaden sab ke aage bhi doharao to kya kaun paraya dard samete kaun kisi ka yar bane apna zakhm hai apna pyare logon ko dikhlao to kya pahle to tum aag laga kar sab kuchh jalta chhod gae diwaren tarik hui hain ab is ghar mein aao to kya us ka chehra us ki aankhen us ke lab wo baat kahan rang-birangi akhbaron ki taswiren dikhlao to kya main ek aisa ped hun jis par baith ke sab ud jate hain tum bhi meri shakh pe aa kar baitho aur ud jao to kya soch ki dhup to kya kam hogi soch ki kirnen aam huin raat ke sae mere sar ke suraj par phailao to kya tod ke pairon ki zanjiren maidanon ka azm karo apne garebanon ke parcham kamron mein lahrao to kya apne badan ko surat aisi nazr-e-salib-e-zulm karo sone ki masum saliben sinon par latkao to kya kya kya sher kiye hain tum ne naqsh ghazal ki surat mein hum tum ko 'naqqash' kahenge tum shair kahlao to kya