id ho jae abhi talib-e-didaron ko

id ho jae abhi talib-e-didaron ko
khol do zulf se gar chand se rukhsaron ko

le ke dil chain se ja baithe wo ghar mein chhup ke
ab to aankhen bhi tarasne lagin nazzaron ko

phal ye qatil ko diya meri giran-jaani ne
tod kar dher kiya saikdon talwaron ko

ain altaf hai mazhab mein hasinon ke sitam
bad-shuguni hai unhen puchhna bimaron ko

daur-e-saqi mein bhi ulti bahi ganga har roz
jab diya jam-e-mai-e-nab to aghyaron ko

kabhu sauda kabhu wahshat kabhu ghaflat kabhu dard
aag lag jae mohabbat ke in aazaron ko

wo pari-ru hai piyo shauq se tum ai 'tanwir'
mai se parhez nahin chahiye mai-khwaro ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close