idhar dekh lena udhar dekh lena phir un ki taraf ek nazar dekh lena wo mera na kahne mein kah jaana sab kuchh wo un ka achanak idhar dekh lena abas meri jaanib se tu bad-guman hai nahin muddaa kuchh magar dekh lena mere gham-kade mein wo aaenge ek din jhalak utthenge baam-o-dar dekh lena 'asar' arz-e-haal un se be-soche-samjhe kaha tha ki pahle nazar dekh lena