ye chahte hain ki jam-e-ulfat ka zehn-o-dil se asar na jae pila do hum ko phir is se pahle nasha hamara utar na jae hamin se hai mai-kade ki raunaq hamin se sara nizam-e-rindan ye kaise mumkin hai saqiya ab hamare upar nazar na jae tumhaari khatir hi raston par bichha ke rakkhi hain hum ne aankhen chale bhi aao ki bin tumhaare ye mausam-e-gul guzar na jae waraq waraq par tumhaara charcha tumhaari yaaden tumhaari baaten badi hifazat se rakh raha hun kitab-e-dil hai bikhar na jae main chahta hun ki tum se kah dun magar ye mujh se na ho sakega ye dil ke izhaar ka parinda qafas ke andar hi mar na jae tumhaare dar se main apna sar bhi tabhi uthaunga jaan-e-jaanan ki jab talak 'arzu' ka bigda hua muqaddar sanwar na jae