idhar dekh lena udhar dekh lena kan-ankhiyon se us ko magar dekh lena faqat nabz se haal zahir na hoga mera dil bhi ai chaaragar dekh lena kabhi zikr-e-didar aaya to bole qayamat se bhi pesh-tar dekh lena na dena khat-e-shauq ghabra ke pahle mahal mauqa ai nama-bar dekh lena kahin aise bigde sanwarte bhi dekhe na aaenge wo rah par dekh lena taghaful mein shokhi nirali ada thi ghazab tha wo munh pher kar dekh lena shab-e-wada apna yahi mashghala tha utha kar nazar su-e-dar dekh lena bulaya jo ghairon ko dawat mein tum ne mujhe pesh-tar apne ghar dekh lena mohabbat ke bazar mein aur kya hai koi dil dikhae agar dekh lena mere samne ghair se bhi ishaare idhar bhi udhar dekh kar dekh lena na ho nazuk itna bhi mashshata koi dahan dekh lena kamar dekh lena nahin rakhne dete jahan panw hum ko usi aastane pe sar dekh lena tamasha-e-alam ki fursat hai kis ko ghanimat hai bas ek nazar dekh lena diye jate hain aaj kuchh likh ke tum ko use waqt-e-fursat magar dekh lena hamin jaan denge hamin mar mitenge hamein tum kisi waqt par dekh lena jalaya to hai 'dagh' ke dil ko tum ne magar is ka hoga asar dekh lena