in aankhon ne kya kya tamasha na dekha haqiqat mein jo dekhna tha na dekha tujhe dekh kar wo dui uth gai hai ki apna bhi sani na dekha na dekha un aankhon ke qurban jaun jinhon ne hazaron hijabon mein parwana dekha na himmat na qismat na dil hai na aankhen na dhunda na paya na samjha na dekha marizan-e-ulfat ki kya be-kasi hai masiha ko bhi chaara-farma na dekha bahut dard-mandon ko dekha hai tu ne ye sina ye dil ye kaleja na dekha wo kab dekh sakta hai us ki tajalli jis insan ne apna hi jalwa na dekha bahut shor sunte the is anjuman ka yahan aa ke jo kuchh suna tha na dekha safai hai bagh-e-mohabbat mein aisi ki baad-e-saba ne bhi tinka na dekha use dekh kar aur ko phir jo dekhe koi dekhne wala aisa na dekha wo tha jalwa-ara magar tu ne musa na dekha na dekha na dekha na dekha gaya karwan chhod kar mujh ko tanha zara mere aane ka rasta na dekha kahan naqsh-e-awwal kahan naqsh-e-sani khuda ki khudai mein tujh sa na dekha teri yaad hai ya hai tera tasawwur kabhi 'dagh' ko hum ne tanha na dekha