idhar hai baad-e-sumum nalan udhar hai barq-e-tapan bhi aajiz meri bahaaron se ho gai ab haram-zadi khizan bhi aajiz ye hosh-o-aql-o-khirad ki khami pe hirs-e-rahbar ki tishna-kaami ki jis ko sairab karte karte hua hai aksar kuan bhi aajiz kiya hai yun azm-e-mustaqil ne khilaf un ke mahaz qaem ki aaj kal hai sitamgaron ki chunin bhi aajiz chunan bhi aajiz tamam rindon ne mai-kade mein ab aisi shorish macha rakhi hai ki shishe ulte surahi aundhi hai mera pir-e-mughan bhi aajiz jafaen din raat dhate dhate sitam ke bani bhi thak na jaen shikar chuhon ka karte karte na hon kahin billiyan bhi aajiz harim-e-naz-o-ada mein un ki ye kaun dahqani bolta hai hai na-tarashida guftugu se zaban bhi lutf-e-zaban bhi aajiz